be-samt-o-be-KHayal thi aur main safar mein thi
be-samt-o-be-ḳhayāl thī aur maiñ safar meñ thī
vo shaam pur-malāl thī aur maiñ safar meñ thī
aise hī ik safar meñ thā vo mere saath saath
so qurb se nihāl thī aur maiñ safar meñ thī
ik rāsta tavīl thā rim-jhim kā thā samāñ
vo shaam be-misāl thī aur maiñ safar meñ thī
aisī hī ek shaam thī jab vo chalā gayā
bas ġham se maiñ niDhāl thī aur maiñ safar meñ thī
bas itnā yaad thā mujhe chalnā hai be-thakan
himmat mirī bahāl thī aur maiñ safar meñ thī
kab shaam Dhal ga.ī 'duā' aur raat aa ga.ī
ab tīrgī savāl thī aur maiñ safar meñ thī
be-samt-o-be-KHayal thi aur main safar mein thi
wo sham pur-malal thi aur main safar mein thi
aise hi ek safar mein tha wo mere sath sath
so qurb se nihaal thi aur main safar mein thi
ek rasta tawil tha rim-jhim ka tha saman
wo sham be-misal thi aur main safar mein thi
aisi hi ek sham thi jab wo chala gaya
bas gham se main niDhaal thi aur main safar mein thi
bas itna yaad tha mujhe chalna hai be-thakan
himmat meri bahaal thi aur main safar mein thi
kab sham Dhal gai 'dua' aur raat aa gai
ab tirgi sawal thi aur main safar mein thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.