be-samt ye safar hai zara dekh kar chalo
be-samt ye safar hai zarā dekh kar chalo
anjān rahguzar hai zarā dekh kar chalo
guzrā idhar se jo bhī vo patthar meñ Dhal gayā
jaadū kā ye nagar hai zarā dekh kar chalo
patthar pighal rahe haiñ tamāzat se dhuup kī
ye dasht be-shajar hai zarā dekh kar chalo
karne lage haiñ raqs bagūle havāoñ meñ
tūfān tez-tar hai zarā dekh kar chalo
dāman jhulas na jaa.e chaman-zār meñ kahīñ
har phuul ik sharar hai zarā dekh kar chalo
khilne lage haiñ phuul dil-e-zaḳhm-zaḳhm ke
manzil qarīb-tar hai zarā dekh kar chalo
be-samt ye safar hai zara dekh kar chalo
anjaan rahguzar hai zara dekh kar chalo
guzra idhar se jo bhi wo patthar mein Dhal gaya
jadu ka ye nagar hai zara dekh kar chalo
patthar pighal rahe hain tamazat se dhup ki
ye dasht be-shajar hai zara dekh kar chalo
karne lage hain raqs bagule hawaon mein
tufan tez-tar hai zara dekh kar chalo
daman jhulas na jae chaman-zar mein kahin
har phul ek sharar hai zara dekh kar chalo
khilne lage hain phul dil-e-zaKHm-zaKHm ke
manzil qarib-tar hai zara dekh kar chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.