Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-shak bahar se wo raazi hota hai

Sadia Swera

be-shak bahar se wo raazi hota hai

Sadia Swera

MORE BYSadia Swera

    be-shak bāhar se vo raazī hotā hai

    har koī andar se bāġhī hotā hai

    ik mahrūmī pahlū meñ so jaatī hai

    jab bhī aadhā bistar ḳhālī hotā hai

    ghar se bhāgne vāloñ ko mā'lūm nahīñ

    kam sāmān ziyāda bhārī hotā hai

    koī darvāza khultā hai dastak se

    aur koī patthar 'aadī hotā hai

    bāhar se utnā shor machātā hai

    jo andar se jitnā ḳhālī hotā hai

    pāgal is ko ronā thoḌī kahte haiñ

    in āñkhoñ se chashma jaarī hotā hai

    ham ne us ko baiTh ke samjhāyā thā sab

    varna ek ishāra kaafī hotā hai

    be-shak bahar se wo raazi hota hai

    har koi andar se baghi hota hai

    ek mahrumi pahlu mein so jati hai

    jab bhi aadha bistar KHali hota hai

    ghar se bhagne walon ko ma'lum nahin

    kam saman ziyaada bhaari hota hai

    koi darwaza khulta hai dastak se

    aur koi patthar ka 'adi hota hai

    bahar se utna hi shor machata hai

    jo andar se jitna KHali hota hai

    pagal is ko rona thoDi kahte hain

    in aankhon se chashma jari hota hai

    hum ne us ko baiTh ke samjhaya tha sab

    warna ek ishaara kafi hota hai

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now