be-shak bahut kaThin hai yaro ye teDhi-meDhi pagDanDi
be-shak bahut kaThin hai yaro ye teDhi-meDhi pagDanDi
Suresh Chandra Shauq
MORE BYSuresh Chandra Shauq
be-shak bahut kaThin hai yaaro ye teḌhī-meḌhī pagDanDī
lekin ziist kī manzil tak jaatī hai dil kī hī pagDanDī
man kā ramtā jogī jaane kis kī khoj meñ ghuum rahā hai
bastī-bastī sahrā-sahrā dar-dar pagDanDī-pagDanDī
pahle hī tum soch samajh lo pyaar kī manzil bahut kaThin hai
raah meñ koī peḌ na saaya kosoñ dhūl-bharī pagDanDī
baiTh chuke saa.e meñ thak ke tere DhūñDne vaale kab ke
kaisī manzil kaise rahrau kaisā safar kaisī pagDanDī
ye muTiyāreñ chhail-chhabelī ye gabrū bāñke albele
jaatī hai kis ruup nagar ko ye teḌhī-meḌhī pagDanDī
pyaar meñ milnā khel nahīñ hai merā terā mel nahīñ hai
tū ik raushan kāhkashāñ sī maiñ ik dhuñdlī sī pagDanDī
us tanhā maskan tak jaanā aisā bhī kyā mushkil hogā
āḳhir vahāñ bhī jaatī hogī koī saḌak koī pagDanDī
'shauq' ka.ī barsoñ baa'd ab ke maiñ jab apne gaañv gayā to
pahroñ mujh se rahī muḳhātib ek purānī sī pagDanDī
be-shak bahut kaThin hai yaro ye teDhi-meDhi pagDanDi
lekin zist ki manzil tak jati hai dil ki hi pagDanDi
man ka ramta jogi jaane kis ki khoj mein ghum raha hai
basti-basti sahra-sahra dar-dar pagDanDi-pagDanDi
pahle hi tum soch samajh lo pyar ki manzil bahut kaThin hai
rah mein koi peD na saya koson dhul-bhari pagDanDi
baiTh chuke sae mein thak ke tere DhunDne wale kab ke
kaisi manzil kaise rahrau kaisa safar kaisi pagDanDi
ye muTiyaren chhail-chhabeli ye gabru banke albele
jati hai kis rup nagar ko ye teDhi-meDhi pagDanDi
pyar mein milna khel nahin hai mera tera mel nahin hai
tu ek raushan kahkashan si main ek dhundli si pagDanDi
us tanha maskan tak jaana aisa bhi kya mushkil hoga
aaKHir wahan bhi jati hogi koi saDak koi pagDanDi
'shauq' kai barson ba'd ab ke main jab apne ganw gaya to
pahron mujh se rahi muKHatib ek purani si pagDanDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.