be-shak jhagDa tuli ho
be-shak jhagḌā tuulī ho
lekin baat usūlī ho
apne apne kāñdhe par
apnī apnī suulī ho
yūsuf se bik jaate haiñ
tum kis khet kī muulī ho
uf vo us kā tīkhā-pan
jaise bijlī chhū lī ho
āḳhir kaT hī jaatī hai
shab jitnī bhī tuulī ho
ek hī jaisī hotī haiñ
bablī ho ki juulī ho
'nāz' ye kaise mumkin hai
aap kī hukm-udūlī ho
be-shak jhagDa tuli ho
lekin baat usuli ho
apne apne kandhe par
apni apni suli ho
yusuf se bik jate hain
tum kis khet ki muli ho
uf wo us ka tikha-pan
jaise bijli chhu li ho
aaKHir kaT hi jati hai
shab jitni bhi tuli ho
ek hi jaisi hoti hain
babli ho ki juli ho
'naz' ye kaise mumkin hai
aap ki hukm-uduli ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.