be-shakl shabahat hai be-rabt sarapa hai
be-shakl shabāhat hai be-rabt sarāpā hai
jazbāt bhī jāmid haiñ ehsās bhī tishna hai
bahtā huā dariyā hai uThtī huī maujeñ haiñ
sadiyoñ kī masāfat meñ lamhoñ kā tamāshā hai
tahzīb kā sannāTā sākin hai yahāñ shāyad
vīrān havelī kī dahlīz pe parda hai
uljhe hue insāñ kī tasvīr bhī uljhī hai
āñkhoñ meñ añdherā hai chehra pe ujālā hai
manzar ke tanāzur tak kis tarah rasā.ī ho
nazroñ se bhī aage hai āñkhoñ se bhī gahrā hai
ye lamha mirī shab kā kitnā hī muqaddas hai
jismoñ ko milātā hai rūhoñ ko jagātā hai
saa.e ke ta.āqub meñ masrūf hai roz-o-shab
ham-zād mirā 'shāhid' auhām kā maarā hai
be-shakl shabahat hai be-rabt sarapa hai
jazbaat bhi jamid hain ehsas bhi tishna hai
bahta hua dariya hai uThti hui maujen hain
sadiyon ki masafat mein lamhon ka tamasha hai
tahzib ka sannaTa sakin hai yahan shayad
viran haweli ki dahliz pe parda hai
uljhe hue insan ki taswir bhi uljhi hai
aankhon mein andhera hai chehra pe ujala hai
manzar ke tanazur tak kis tarah rasai ho
nazron se bhi aage hai aankhon se bhi gahra hai
ye lamha meri shab ka kitna hi muqaddas hai
jismon ko milata hai ruhon ko jagata hai
sae ke taaqub mein masruf hai roz-o-shab
ham-zad mera 'shahid' auham ka mara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.