be-shumaro mere yaro alwidaa
be-shumāro mere yaaro alvidā.a
murġh-zāro chāñd taaro alvidā.a
maiñ chalā ārām karne kuchh ghaḌī
be-sukūno be-qarāro alvidā.a
ab rahūñgā nafratoñ ke shahr meñ
chāhatoñ ke da.ave-dāro alvidā.a
ḳhuub guzrī jo bhī guzrī saath meñ
ġham ke maaro rishta-dāro alvidā.a
ai mirī har raat ke ham-rāhiyo
ai sitāro ġham-gusāro alvidā.a
mauj ne ab sāhiloñ ke darmiyāñ
pheñk Daalā ai kināro alvidā.a
raat kī āġhosh hai aur hijr hai
hosh ke uljhe madāro alvidā.a
lo mubārak ho tumheñ ye bazm ab
bas karo ab mat pukāro alvidā.a
saaz naġhma jaam bazm-e-dostāñ
ziist ke jhūTe sahāro alvidā.a
raqs-e-'dānish' fikr ke darbār meñ
ai junūñ ke Thekedāro alvidā.a
be-shumaro mere yaro alwidaa
murgh-zaro chand taro alwidaa
main chala aaram karne kuchh ghaDi
be-sukuno be-qararo alwidaa
ab rahunga nafraton ke shahr mein
chahaton ke dawe-daro alwidaa
KHub guzri jo bhi guzri sath mein
gham ke maro rishta-daro alwidaa
ai meri har raat ke ham-rahiyo
ai sitaro gham-gusaro alwidaa
mauj ne ab sahilon ke darmiyan
phenk Dala ai kinaro alwidaa
raat ki aaghosh hai aur hijr hai
hosh ke uljhe madaro alwidaa
lo mubarak ho tumhein ye bazm ab
bas karo ab mat pukaro alwidaa
saz naghma jam bazm-e-dostan
zist ke jhuTe sahaaro alwidaa
raqs-e-'danish' fikr ke darbar mein
ai junun ke Thekedaro alwidaa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.