be-soz-e-nihan mahw-e-fughan ho nahin sakta
be-soz-e-nihāñ mahv-e-fuġhāñ ho nahīñ saktā
jab tak na lage aag dhuāñ ho nahīñ saktā
va.ade ko nibhā.eñge ye va.ada hai hamārā
qaul apnā kabhī terī zabāñ ho nahīñ saktā
haiñ saiñkaḌoñ dil tāj-mahal aaj bhī lekin
nazzāra tujhe shāh-e-jahāñ ho nahīñ saktā
āñkheñ hī nahīñ qābil-e-dīdār vagarna
us yaar kā dīdār kahāñ ho nahīñ saktā
juz tere koī rāhat-e-dil rāhat-e-jāñ aur
ai rāhat-e-dil rāhat-e-jāñ ho nahīñ saktā
'purnam' abhī armāñ haiñ bahut ḳhāna-e-dil meñ
ḳhālī ye makīnoñ se makāñ ho nahīñ saktā
be-soz-e-nihan mahw-e-fughan ho nahin sakta
jab tak na lage aag dhuan ho nahin sakta
wade ko nibhaenge ye wada hai hamara
qaul apna kabhi teri zaban ho nahin sakta
hain sainkaDon dil taj-mahal aaj bhi lekin
nazzara tujhe shah-e-jahan ho nahin sakta
aankhen hi nahin qabil-e-didar wagarna
us yar ka didar kahan ho nahin sakta
juz tere koi rahat-e-dil rahat-e-jaan aur
ai rahat-e-dil rahat-e-jaan ho nahin sakta
'purnam' abhi arman hain bahut KHana-e-dil mein
KHali ye makinon se makan ho nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.