be-Thikane hai dil-e-gham-gin Thikane ki kaho
be-Thikāne hai dil-e-ġham-gīñ Thikāne kī kaho
shām-e-hijrāñ dosto kuchh is ke aane kī kaho
haañ na pūchho ik giraftār-e-qafas kī zindagī
ham-safīrān-e-chaman kuchh āshiyāne kī kaho
uḌ gayā hai manzil-e-dushvār meñ ġham kā samand
gesū-e-pur-pech-o-ḳham ke tāziyāne kī kaho
baat bantī aur bātoñ se nazar aatī nahīñ
us nigāh-e-nāz kī bāteñ banāne kī kaho
dāstāñ vo thī jise dil bujhte bujhte kah gayā
sham-e-bazm-e-zindagī ke jhilmilāne kī kaho
kuchh dil-e-marhūm kī bāteñ karo ai ahl-e-ilm
jis se vīrāne the ābād us divāne kī kaho
dāstān-e-zindagī bhī kis qadar dilchasp hai
jo azal se chhiḌ gayā hai us fasāne kī kaho
ye fusūn-e-nīm-e-shab ye ḳhvāb-sāmāñ ḳhāmushī
sāmrī fan aañkh ke jaadū jagāne kī kaho
koī kyā khā.egā yuuñ sachchī qasam jhūTī qasam
us nigāh-e-nāz kī saugandh khāne kī kaho
shaam hī se gosh-bar-āvāz hai bazm-e-suḳhan
kuchh 'firāq' apnī sunāo kuchh zamāne kī kaho
be-Thikane hai dil-e-gham-gin Thikane ki kaho
sham-e-hijran dosto kuchh is ke aane ki kaho
han na puchho ek giraftar-e-qafas ki zindagi
ham-safiran-e-chaman kuchh aashiyane ki kaho
uD gaya hai manzil-e-dushwar mein gham ka samand
gesu-e-pur-pech-o-KHam ke taziyane ki kaho
baat banti aur baaton se nazar aati nahin
us nigah-e-naz ki baaten banane ki kaho
dastan wo thi jise dil bujhte bujhte kah gaya
sham-e-bazm-e-zindagi ke jhilmilane ki kaho
kuchh dil-e-marhum ki baaten karo ai ahl-e-ilm
jis se virane the aabaad us diwane ki kaho
dastan-e-zindagi bhi kis qadar dilchasp hai
jo azal se chhiD gaya hai us fasane ki kaho
ye fusun-e-nim-e-shab ye KHwab-saman KHamushi
samri fan aankh ke jadu jagane ki kaho
koi kya khaega yun sachchi qasam jhuTi qasam
us nigah-e-naz ki saugandh khane ki kaho
sham hi se gosh-bar-awaz hai bazm-e-suKHan
kuchh 'firaq' apni sunao kuchh zamane ki kaho
- Book : Gul-e-Naghma (Pg. 81)
- Author : Firaq Gorakhpuri
- Publication : Idarah idarah ilm-o-adab, Delhi (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.