be-wafa na-mehrban ye sach hai wo aisa to tha
be-vafā nā-mehrbāñ ye sach hai vo aisā to thā
mat kaho kuchh us ko yaaro jo bhī thā merā to thā
bhiiḌ itnī hai nagar meñ kis jagah DhūñDūñ use
ek chehra kuchh dinoñ pahle kahīñ dekhā to thā
raat aa.ī aur aa ke mujh ko tanhā kar ga.ī
kam se kam din thā to mere saath ik saaya to thā
ab to ik muddat huī koī sadā aatī nahīñ
jin dinoñ TuuTā thā dil ik shor sā uTThā to thā
ham 'hasan' ko jānte haiñ aadmī achchhā na thā
do-ghaḌī ko paas aa ke dil ko bahlātā to thā
be-wafa na-mehrban ye sach hai wo aisa to tha
mat kaho kuchh us ko yaro jo bhi tha mera to tha
bhiD itni hai nagar mein kis jagah DhunDun use
ek chehra kuchh dinon pahle kahin dekha to tha
raat aai aur aa ke mujh ko tanha kar gai
kam se kam din tha to mere sath ek saya to tha
ab to ek muddat hui koi sada aati nahin
jin dinon TuTa tha dil ek shor sa uTTha to tha
hum 'hasan' ko jaante hain aadmi achchha na tha
do-ghaDi ko pas aa ke dil ko bahlata to tha
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 98)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.