be-wajh andalib ko KHauf-e-KHizan nahin
be-vaj.h 'andalīb ko ḳhauf-e-ḳhizāñ nahīñ
ujḌā to ban sakegā nayā āshiyāñ nahīñ
kuchh qaid hai jagah kī yahāñ ho vahāñ nahīñ
sajdoñ kā shauq ho to kahāñ āstāñ nahīñ
kaliyoñ meñ rang bhar na sakī to bahār kyā
gul kī qabā na chhīn sakī to ḳhizāñ nahīñ
kyā zulm hai ki jaao ho roz is galī se tum
aao ho bhuul kar bhī hamāre yahāñ nahīñ
jiinā jo chāhiye to zamāne se jang ho
karnā jo chāhiye to koī nauha-ḳhvāñ nahīñ
kyā aap ko paḌī hai jo suniyegā shauq se
zikr-e-amar se baḌh ke mirī dāstāñ nahīñ
vā'iz ke talḳh vaa'z se allāh kī panāh
mat pūchhiye ki zaḳhm kahāñ haiñ kahāñ nahīñ
merī nigāh kaam na de aur baat hai
jalva tirā ba-qadr-e-zarūrat kahāñ nahīñ
ik aap haiñ ki jī meñ jo aa.ī vo kah ga.e
ik ham adab se khol rahe haiñ zabāñ nahīñ
vahshat meñ dekhtā bhī hai dīvāna aap kā
dāman kahāñ nahīñ haiñ garebāñ kahāñ nahīñ
kyā jaane kyā huā ki vo mahfil se uTh ga.e
puurī abhī huī thī mirī dāstāñ nahīñ
dair-o-haram kahīñ na milā vaa.e re nasīb
allāh ham ne tujh ko pukārā kahāñ nahīñ
milte haiñ dair bhī to haram hī ke ās-pās
'bismil' se tum miloge kahāñ aur kahāñ nahīñ
be-wajh 'andalib ko KHauf-e-KHizan nahin
ujDa to ban sakega naya aashiyan nahin
kuchh qaid hai jagah ki yahan ho wahan nahin
sajdon ka shauq ho to kahan aastan nahin
kaliyon mein rang bhar na saki to bahaar kya
gul ki qaba na chhin saki to KHizan nahin
kya zulm hai ki jao ho roz is gali se tum
aao ho bhul kar bhi hamare yahan nahin
jina jo chahiye to zamane se jang ho
karna jo chahiye to koi nauha-KHwan nahin
kya aap ko paDi hai jo suniyega shauq se
zikr-e-amar se baDh ke meri dastan nahin
wa'iz ke talKH wa'z se allah ki panah
mat puchhiye ki zaKHm kahan hain kahan nahin
meri nigah kaam na de aur baat hai
jalwa tera ba-qadr-e-zarurat kahan nahin
ek aap hain ki ji mein jo aai wo kah gae
ek hum adab se khol rahe hain zaban nahin
wahshat mein dekhta bhi hai diwana aap ka
daman kahan nahin hain gareban kahan nahin
kya jaane kya hua ki wo mahfil se uTh gae
puri abhi hui thi meri dastan nahin
dair-o-haram kahin na mila wae re nasib
allah hum ne tujh ko pukara kahan nahin
milte hain dair bhi to haram hi ke aas-pas
'bismil' se tum miloge kahan aur kahan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.