be-wajh dil-jalon ko jalane se kya gharaz
be-wajh dil-jalon ko jalane se kya gharaz
Ahmad Shah Khan Shabnam
MORE BYAhmad Shah Khan Shabnam
be-vaj.h dil-jaloñ ko jalāne se kyā ġharaz
matlab hī jab nahīñ to satāne se kyā ġharaz
tum se bigaḌ ga.ī to jahāñ se bigaḌ ga.ī
tum se ġharaz nahīñ to zamāne se kyā ġharaz
manzūr agar nahīñ kashish-e-ishq dekhnā
khīñche se kyā ġharaz hai na aane se kyā ġharaz
jab tum ko vāsta hī nahīñ kuchh raqīb se
phir roz us kī bazm meñ jaane se kyā ġharaz
'shabnam' kī tarah kaun ho nālāñ shab-e-firāq
ham ko kisī kī niiñd uḌāne se kyā ġharaz
be-wajh dil-jalon ko jalane se kya gharaz
matlab hi jab nahin to satane se kya gharaz
tum se bigaD gai to jahan se bigaD gai
tum se gharaz nahin to zamane se kya gharaz
manzur agar nahin kashish-e-ishq dekhna
khinche se kya gharaz hai na aane se kya gharaz
jab tum ko wasta hi nahin kuchh raqib se
phir roz us ki bazm mein jaane se kya gharaz
'shabnam' ki tarah kaun ho nalan shab-e-firaq
hum ko kisi ki nind uDane se kya gharaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.