be-wajh ye hangam-e-bahaaran to nahin hai
be-vaj.h ye hañgām-e-bahārāñ to nahīñ hai
kuchh sāzish-e-arbāb-e-gulistāñ to nahīñ hai
ai josh-e-junūñ khol ke āñkheñ to zarā dekh
hāthoñ meñ kahīñ un kā garebāñ to nahīñ hai
hone ko hai ye nazm-e-jahāñ darham-o-barham
aañsū koī larzāñ sar-e-mizhgāñ to nahīñ hai
hone ko mujāhid bhī haiñ jāñbāz bhī lekin
vo hausla-e-būzar-o-salmāñ to nahīñ hai
rah rah ke nazar sū-e-falak uThtī hai 'zamzam'
vo mujh pe kahīñ aaj mehrbāñ to nahīñ hai
be-wajh ye hangam-e-bahaaran to nahin hai
kuchh sazish-e-arbab-e-gulistan to nahin hai
ai josh-e-junun khol ke aankhen to zara dekh
hathon mein kahin un ka gareban to nahin hai
hone ko hai ye nazm-e-jahan darham-o-barham
aansu koi larzan sar-e-mizhgan to nahin hai
hone ko mujahid bhi hain jaanbaz bhi lekin
wo hausla-e-buzar-o-salman to nahin hai
rah rah ke nazar su-e-falak uThti hai 'zamzam'
wo mujh pe kahin aaj mehrban to nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.