be-yaqini ke Dar se TuT gae
be-yaqīnī ke Dar se TuuT ga.e
ham jo dast-e-hunar se TuuT ga.e
tum nahīñ jānte ki kitne dil
hādse ke asar se TuuT ga.e
hausle dhuup ne kiye paspā
jism lambe safar se TuuT ga.e
phir hameñ kirchiyāñ dikhāne lagā
ḳhvāb jab ḳhvāb-gar se TuuT ga.e
ek taa.ir kī vāpsī na huī
sabz mausam shajar se TuuT ga.e
kabhī ham chaak tak nahīñ pahuñche
aur kabhī kūza-gar se TuuT ga.e
kyā tilismī nigāh thī kisī kī
log pahlī nazar se TuuT ga.e
silsile sachchī chāhatoñ ke 'safīr'
ek jhūTī ḳhabar se TuuT ga.e
be-yaqini ke Dar se TuT gae
hum jo dast-e-hunar se TuT gae
tum nahin jaante ki kitne dil
hadse ke asar se TuT gae
hausle dhup ne kiye paspa
jism lambe safar se TuT gae
phir hamein kirchiyan dikhane laga
KHwab jab KHwab-gar se TuT gae
ek tair ki wapsi na hui
sabz mausam shajar se TuT gae
kabhi hum chaak tak nahin pahunche
aur kabhi kuza-gar se TuT gae
kya tilismi nigah thi kisi ki
log pahli nazar se TuT gae
silsile sachchi chahaton ke 'safir'
ek jhuTi KHabar se TuT gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.