be-zaban bhi tha ba-zaban bhi tha
be-zabāñ bhī thā bā-zabān bhī thā
kuchh ḳhamoshī thī kuchh bayān bhī thā
kuchh añdheroñ kī āzmā.ish thī
kuchh ujāloñ kā imtihān bhī thā
kuchh fasāne kī ḳhūbiyāñ bhī thiiñ
kuchh shagufta mirā bayān bhī thā
kuchh nigāhoñ meñ thā bayābāñ bhī
kuchh tasavvur meñ gulsitān bhī thā
rāhbar kī bhī kuchh ināyat thī
us taraf kuchh mirā ruj.hān bhī thā
aisā lagtā hai us ke lahje meñ
kuchh yaqīñ bhī thā kuchh gumān bhī thā
vo jo munkir bhī thā aqīde kā
us aqīde kā tarjumān bhī thā
jo zabāñ tak na aa sakā jumla
haañ vahī hāsil-e-bayān bhī thā
be-zaban bhi tha ba-zaban bhi tha
kuchh KHamoshi thi kuchh bayan bhi tha
kuchh andheron ki aazmaish thi
kuchh ujalon ka imtihan bhi tha
kuchh fasane ki KHubiyan bhi thin
kuchh shagufta mera bayan bhi tha
kuchh nigahon mein tha bayaban bhi
kuchh tasawwur mein gulsitan bhi tha
rahbar ki bhi kuchh inayat thi
us taraf kuchh mera rujhan bhi tha
aisa lagta hai us ke lahje mein
kuchh yaqin bhi tha kuchh guman bhi tha
wo jo munkir bhi tha aqide ka
us aqide ka tarjuman bhi tha
jo zaban tak na aa saka jumla
han wahi hasil-e-bayan bhi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.