be-zabani ko ata yun bhi zaban hone lagi
be-zabani ko ata yun bhi zaban hone lagi
Sufi Mohammad Tanveer Sajid Naqshbandi
MORE BYSufi Mohammad Tanveer Sajid Naqshbandi
be-zabānī ko atā yuuñ bhī zabāñ hone lagī
merī hālat un ke chehre se ayaañ hone lagī
har masarrat har ḳhushī bantī ga.ī tasvīr-e-ġham
dhīre dhīre naġhmagī āh-o-fuġhāñ hone lagī
shab ke Dhalne tak jamī thī mahfil-e-sher-o-suḳhan
aañkh jhapkī thī ki masjid meñ azaañ hone lagī
tere hāthoñ kī mahak hai ab bhī mere haath meñ
terī ḳhushbū merī sāñsoñ meñ ravāñ hone lagī
vaqt-e-ruḳhsat aap ne dī thī duā.eñ mere saath
abr ban kar vo safar meñ sā.ebāñ hone lagī
ḳhaak ban kar un kī galiyoñ meñ pahuñchtā kaash maiñ
merī miTTī bhī lahad meñ rā.egāñ hone lagī
āñkhoñ āñkhoñ hī meñ 'sājid' kah ga.e sab hāl-e-dil
apnī ḳhāmoshī na.ī tarz-e-bayāñ hone lagī
be-zabani ko ata yun bhi zaban hone lagi
meri haalat un ke chehre se ayan hone lagi
har masarrat har KHushi banti gai taswir-e-gham
dhire dhire naghmagi aah-o-fughan hone lagi
shab ke Dhalne tak jami thi mahfil-e-sher-o-suKHan
aankh jhapki thi ki masjid mein azan hone lagi
tere hathon ki mahak hai ab bhi mere hath mein
teri KHushbu meri sanson mein rawan hone lagi
waqt-e-ruKHsat aap ne di thi duaen mere sath
abr ban kar wo safar mein saeban hone lagi
KHak ban kar un ki galiyon mein pahunchta kash main
meri miTTi bhi lahad mein raegan hone lagi
aankhon aankhon hi mein 'sajid' kah gae sab haal-e-dil
apni KHamoshi nai tarz-e-bayan hone lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.