be-zamiri ka pata deta raha
be-zamīrī kā pata detā rahā
zarf thā ḳhālī sadā detā rahā
dekhne kī ham ne zahmat hī na kī
haath meñ vo ā.īna detā rahā
chashm-e-nam ranj-o-mehan ke saath saath
vaqt ham ko tajraba detā rahā
aur kyā kartā ġharīboñ kā ilaaj
paḌh ke paanī par davā detā rahā
sun ke vo karte rahe the an-sunī
phir bhī maiñ un ko sadā detā rahā
ai 'sadā' mujh ko to bas merā yaqīñ
har qadam par hausla detā rahā
be-zamiri ka pata deta raha
zarf tha KHali sada deta raha
dekhne ki hum ne zahmat hi na ki
hath mein wo aaina deta raha
chashm-e-nam ranj-o-mehan ke sath sath
waqt hum ko tajraba deta raha
aur kya karta gharibon ka ilaj
paDh ke pani par dawa deta raha
sun ke wo karte rahe the an-suni
phir bhi main un ko sada deta raha
ai 'sada' mujh ko to bas mera yaqin
har qadam par hausla deta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.