be-zar ki be-zari ka maza humse puchhiye
be-zar kī be-zarī kā mazā ham se pūchhiye
kaisā hai muflisī kā mazā ham se pūchhiye
kāñTe to phir bhī kāñTe haiñ un se gila hai kyā
phūloñ se dostī kā mazā ham se pūchhiye
pahchān kar bhī vo hameñ pahchānte nahīñ
dānista be-ruḳhī kā mazā ham se pūchhiye
jo ghar jalā hai chashm-e-'ināyat se aap kī
is ghar kī raushnī kā mazā ham se pūchhiye
phirte the 'mīr' ḳhvār koī pūchhtā na thā
ab ‘ishq-o-‘āshiqī kā mazā ham se pūchhiye
dānish-kadoñ meñ jehl-e-murakkab kā shor-o-shar
is daur-e-āgahī kā mazā ham se pūchhiye
vo kyā batā.eñge jinheñ dariyā nasīb hai
'bahzād' tishnagī kā mazā ham se pūchhiye
be-zar ki be-zari ka maza hum se puchhiye
kaisa hai muflisi ka maza hum se puchhiye
kanTe to phir bhi kanTe hain un se gila hai kya
phulon se dosti ka maza hum se puchhiye
pahchan kar bhi wo hamein pahchante nahin
danista be-ruKHi ka maza hum se puchhiye
jo ghar jala hai chashm-e-'inayat se aap ki
is ghar ki raushni ka maza hum se puchhiye
phirte the 'mir' KHwar koi puchhta na tha
ab ‘ishq-o-‘ashiqi ka maza hum se puchhiye
danish-kadon mein jehl-e-murakkab ka shor-o-shar
is daur-e-agahi ka maza hum se puchhiye
wo kya bataenge jinhen dariya nasib hai
'bahzad' tishnagi ka maza hum se puchhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.