bebasī aur kuchh dinoñ tak hai
aa ga.ī chāñdnī saroñ tak hai
kaunsā daur aa gayā sāhab
sher mahdūd qāfiyoñ tak hai
shams se jaane kyoñ mohabbat kī
aap kī haisiyat diyoñ tak hai
jab tumheñ vaqt ho chalī aanā
hijr kī shab ka.ī shaboñ tak hai
is mohabbat ko kis tarah bhūlūñ
naqsh jis kā paḌā darūñ tak hai
kyoñ ye ḳhushbū jagah jagah phailī
phuul pattī to bas tanoñ tak hai
aap kī soch se bahut aage
bas rahī ziist bulbuloñ tak hai
kaun baḳhshe mujhe ‘safar’ jannat
shā.irī aa ga.ī laboñ tak hai
bebasi aur kuchh dinon tak hai
aa gai chandni saron tak hai
kaunsa daur aa gaya sahab
sher mahdud qafiyon tak hai
shams se jaane kyon mohabbat ki
aap ki haisiyat diyon tak hai
jab tumhein waqt ho chali aana
hijr ki shab kai shabon tak hai
is mohabbat ko kis tarah bhulun
naqsh jis ka paDa darun tak hai
kyon ye KHushbu jagah jagah phaili
phul patti to bas tanon tak hai
aap ki soch se bahut aage
bas rahi zist bulbulon tak hai
kaun baKHshe mujhe ‘safar’ jannat
shairi aa gai labon tak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.