bebasi KHak uDane se bhi kaT sakti thi
bebasī ḳhaak uḌāne se bhī kaT saktī thī
niiñd thī niiñd to lamhoñ meñ palaT saktī thī
maiñ akelī hī sahe jaatī thī iflās kā dukh
vaise taklīf to ham donoñ meñ baT saktī thī
tū jo kamre se nikal aayā to ye phail ga.ī
raushnī tere ishāre pe simaT saktī thī
aap ġhusse meñ the maiñ rok na paa.ī varna
aap kī shirt mire haath se phaT saktī thī
haa.e gambhīr añdhere meñ huā gum bachcha
maañ to ḳhurshed kā taḳhta bhī ulaT saktī thī
bebasi KHak uDane se bhi kaT sakti thi
nind thi nind to lamhon mein palaT sakti thi
main akeli hi sahe jati thi iflas ka dukh
waise taklif to hum donon mein baT sakti thi
tu jo kamre se nikal aaya to ye phail gai
raushni tere ishaare pe simaT sakti thi
aap ghusse mein the main rok na pai warna
aap ki shirt mere hath se phaT sakti thi
hae gambhir andhere mein hua gum bachcha
man to KHurshed ka taKHta bhi ulaT sakti thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.