bebasi se hath apne malne wale hum nahin
bebasī se haath apne malne vaale ham nahīñ
mehrbānī par kisī kī palne vaale ham nahīñ
rahguzar apnī judā hai falsafa apnā alag
jā tire naqsh-e-qadam par chalne vaale ham nahīñ
ek bas dil kā kiyā hai jān-e-jāñ tujh se savāl
dil liye bin tere dar se Talne vaale ham nahīñ
ham ki sūraj kī tarah buzdil nahīñ ai zulmato
tīrgī-e-shab se Dar kar Dhalne vaale ham nahīñ
makr kā unsur hamārī ḳhū meñ pāoge na tum
mīThī bātoñ se kisī ko chhalne vaale ham nahīñ
terī marzī se hī phaltī phūltī hai zindagī
tū na chāhe to ḳhudāyā phalne vaale ham nahīñ
ham ki apnī zaat meñ be-fikr-o-be-parvā haiñ 'shād'
sozish-e-ranj-o-alam meñ jalne vaale ham nahīñ
bebasi se hath apne malne wale hum nahin
mehrbani par kisi ki palne wale hum nahin
rahguzar apni juda hai falsafa apna alag
ja tere naqsh-e-qadam par chalne wale hum nahin
ek bas dil ka kiya hai jaan-e-jaan tujh se sawal
dil liye bin tere dar se Talne wale hum nahin
hum ki suraj ki tarah buzdil nahin ai zulmato
tirgi-e-shab se Dar kar Dhalne wale hum nahin
makr ka unsur hamari KHu mein paoge na tum
miThi baaton se kisi ko chhalne wale hum nahin
teri marzi se hi phalti phulti hai zindagi
tu na chahe to KHudaya phalne wale hum nahin
hum ki apni zat mein be-fikr-o-be-parwa hain 'shad'
sozish-e-ranj-o-alam mein jalne wale hum nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.