Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bebasi se hath apne malne wale hum nahin

Shamshad shaad

bebasi se hath apne malne wale hum nahin

Shamshad shaad

MORE BYShamshad shaad

    bebasī se haath apne malne vaale ham nahīñ

    mehrbānī par kisī palne vaale ham nahīñ

    rahguzar apnī judā hai falsafa apnā alag

    tire naqsh-e-qadam par chalne vaale ham nahīñ

    ek bas dil kiyā hai jān-e-jāñ tujh se savāl

    dil liye bin tere dar se Talne vaale ham nahīñ

    ham ki sūraj tarah buzdil nahīñ ai zulmato

    tīrgī-e-shab se Dar kar Dhalne vaale ham nahīñ

    makr unsur hamārī ḳhū meñ pāoge na tum

    mīThī bātoñ se kisī ko chhalne vaale ham nahīñ

    terī marzī se phaltī phūltī hai zindagī

    na chāhe to ḳhudāyā phalne vaale ham nahīñ

    ham ki apnī zaat meñ be-fikr-o-be-parvā haiñ 'shād'

    sozish-e-ranj-o-alam meñ jalne vaale ham nahīñ

    bebasi se hath apne malne wale hum nahin

    mehrbani par kisi ki palne wale hum nahin

    rahguzar apni juda hai falsafa apna alag

    ja tere naqsh-e-qadam par chalne wale hum nahin

    ek bas dil ka kiya hai jaan-e-jaan tujh se sawal

    dil liye bin tere dar se Talne wale hum nahin

    hum ki suraj ki tarah buzdil nahin ai zulmato

    tirgi-e-shab se Dar kar Dhalne wale hum nahin

    makr ka unsur hamari KHu mein paoge na tum

    miThi baaton se kisi ko chhalne wale hum nahin

    teri marzi se hi phalti phulti hai zindagi

    tu na chahe to KHudaya phalne wale hum nahin

    hum ki apni zat mein be-fikr-o-be-parwa hain 'shad'

    sozish-e-ranj-o-alam mein jalne wale hum nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now