bebasi zindagi ki aas mein hai
bebasī zindagī kī aas meñ hai
kyā batā.ūñ ki kyā gilās meñ hai
zaḳhm yādoñ ke ḳhuuñ ummīdoñ kā
jaane kyā kyā dil-e-udās meñ hai
aaj kis zahr se bharūñ is ko
vo samundar jo merī pyaas meñ hai
Dhak sake jo kisī ġharīb kā tan
phuul aisā koī kapās meñ hai
ḳhud ḳhizāñ pūchhtī hai rah rah kar
fasl-e-gul aaj kis libās meñ hai
bebasi zindagi ki aas mein hai
kya bataun ki kya gilas mein hai
zaKHm yaadon ke KHun ummidon ka
jaane kya kya dil-e-udas mein hai
aaj kis zahr se bharun is ko
wo samundar jo meri pyas mein hai
Dhak sake jo kisi gharib ka tan
phul aisa koi kapas mein hai
KHud KHizan puchhti hai rah rah kar
fasl-e-gul aaj kis libas mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.