bech kar tahzib daulat ke pujari ho gae
bech kar tahzīb daulat ke pujārī ho ga.e
is zamāne ke suḳhanvar bhī madārī ho ga.e
rakh ke vo mīzān par dīvān apnā ro paḌe
jab kisī ke be-sure alfāz bhārī ho ga.e
ham ne ik mandir meñ dekhī aaj aisī mūrtī
aadmī to aadmī patthar pujārī ho ga.e
inqalāb aaya to hai lekin ye kaisā inqalāb
chīñtiyoñ ko mārne vaale shikārī ho ga.e
ishq ke bāzār se lauTe haiñ dil ko haar kar
dīn-o-īmāñ tum sa.mbhālo ham juārī ho ga.e
kaun samjhā.e samundar ke thapeḌoñ ko 'fahīm'
kaise kaise vaqt ke aage bhikārī ho ga.e
bech kar tahzib daulat ke pujari ho gae
is zamane ke suKHanwar bhi madari ho gae
rakh ke wo mizan par diwan apna ro paDe
jab kisi ke be-sure alfaz bhaari ho gae
hum ne ek mandir mein dekhi aaj aisi murti
aadmi to aadmi patthar pujari ho gae
inqalab aaya to hai lekin ye kaisa inqalab
chintiyon ko marne wale shikari ho gae
ishq ke bazar se lauTe hain dil ko haar kar
din-o-iman tum sambhaalo hum juari ho gae
kaun samjhae samundar ke thapeDon ko 'fahim'
kaise kaise waqt ke aage bhikari ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.