becha na humne dil na KHaridar tak gae
bechā na ham ne dil na ḳharīdār tak ga.e
jo kam-ayār the vahī bāzār tak ga.e
vo silsile bhī kitne dil-āvez the ki jo
zanjīr-e-pā se gesū-e-ḳhamdār tak ga.e
thī ham se aage aage vahāñ bhī alam kī dhuup
jab tak ham us ke sāya-e-dīvār tak ga.e
har baar khīñch laa.ī hameñ ġhairat-e-junūñ
sau baar yuuñ to ham bhī dar-e-yār tak ga.e
raste meñ kaun kaun milā kuchh ḳhabar nahīñ
kū-e-sanam se marhala-e-dār tak ga.e
Thahrā na juz tire koī yūsuf nigāh meñ
jaane ko ham bhī misr ke bāzār tak ga.e
TuuTā na ek sang bhī kyā jaane kitne log
tesha-ba-dast dāman-e-kohsār tak ga.e
kitne aziiz haiñ ye masīhā ko kyā ḳhabar
vo zaḳhm-e-dil jo lazzat-e-āzār tak ga.e
ai 'shān' sochtī huuñ ki vo haath kyā hue
jo shāḳh-e-gul ko chhoḌ ke talvār tak ga.e
becha na hum ne dil na KHaridar tak gae
jo kam-ayar the wahi bazar tak gae
wo silsile bhi kitne dil-awez the ki jo
zanjir-e-pa se gesu-e-KHamdar tak gae
thi hum se aage aage wahan bhi alam ki dhup
jab tak hum us ke saya-e-diwar tak gae
har bar khinch lai hamein ghairat-e-junun
sau bar yun to hum bhi dar-e-yar tak gae
raste mein kaun kaun mila kuchh KHabar nahin
ku-e-sanam se marhala-e-dar tak gae
Thahra na juz tere koi yusuf nigah mein
jaane ko hum bhi misr ke bazar tak gae
TuTa na ek sang bhi kya jaane kitne log
tesha-ba-dast daman-e-kohsar tak gae
kitne aziz hain ye masiha ko kya KHabar
wo zaKHm-e-dil jo lazzat-e-azar tak gae
ai 'shan' sochti hun ki wo hath kya hue
jo shaKH-e-gul ko chhoD ke talwar tak gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.