bechaargi ke nam kabhi bebasi ke nam
bechārgī ke naam kabhī bebasī ke naam
ilzām sab hī aa.e mirī ḳhāmushī ke naam
har ik qadam pe khaa.e haiñ maiñ ne ka.ī fareb
kuchh sādgī ke naam to kuchh dostī ke saath
kyā zindagī thī karb ke lamhāt ke sivā
kuchh raushnī ke naam the kuchh tīrgī ke naam
kāġhaz meñ jazb ho ga.e palkoñ se gir ke jo
vo ashk bhejtā huuñ tirī be-ruḳhī ke naam
'sājid' rah-e-vafā meñ milī mujh ko talḳhiyāñ
dil kī lagī ke naam kabhī dil-lagī ke naam
bechaargi ke nam kabhi bebasi ke nam
ilzam sab hi aae meri KHamushi ke nam
har ek qadam pe khae hain main ne kai fareb
kuchh sadgi ke nam to kuchh dosti ke sath
kya zindagi thi karb ke lamhat ke siwa
kuchh raushni ke nam the kuchh tirgi ke nam
kaghaz mein jazb ho gae palkon se gir ke jo
wo ashk bhejta hun teri be-ruKHi ke nam
'sajid' rah-e-wafa mein mili mujh ko talKHiyan
dil ki lagi ke nam kabhi dil-lagi ke nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.