bechain bahut hun mujhe aaram pila de
bechain bahut huuñ mujhe ārām pilā de
lā sāqiyā lā bāda-e-gulfām pilā de
mujh ko to zarūrat hai davā kī na duā kī
ta.avīz meñ likh kar vahī ik naam pilā de
hangāma bapā hotā hai milte hī badan meñ
jaise vo laboñ se koī kohrām pilā de
maiḳhāne se nisbat kahāñ ham bāda-kashoñ ko
bas mai-kada-e-chashm se ik jaam pilā de
ālām se mashrūt hai ārām hamārā
ai kaash koī talḳhī-e-ayyām pilā de
be-sāḳhta saaqī kī taraf jaatā huuñ har roz
baada na sahī rū-e-dil-ārām pilā de
gar hosh meñ 'kāshif' ho to shab Dastī hai us ko
mohsin hai vahī jo use har shaam pilā de
bechain bahut hun mujhe aaram pila de
la saqiya la baada-e-gulfam pila de
mujh ko to zarurat hai dawa ki na dua ki
tawiz mein likh kar wahi ek nam pila de
hangama bapa hota hai milte hi badan mein
jaise wo labon se koi kohram pila de
maiKHane se nisbat kahan hum baada-kashon ko
bas mai-kada-e-chashm se ek jam pila de
aalam se mashrut hai aaram hamara
ai kash koi talKHi-e-ayyam pila de
be-saKHta saqi ki taraf jata hun har roz
baada na sahi ru-e-dil-aram pila de
gar hosh mein 'kashif' ho to shab Dasti hai us ko
mohsin hai wahi jo use har sham pila de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.