bechain ye dil hai tere didar ki KHatir
bechain ye dil hai tire dīdār kī ḳhātir
Thukrā diyā duniyā ko tire pyaar kī ḳhātir
āñkhoñ meñ hai dam hasrat-e-dīdār kī ḳhātir
kuchh der ko aa jā.iye bīmār kī ḳhātir
jab tāj-mahal ban gayā kaTvā.e ga.e haath
ik shaah ne kī yuuñ fan-e-me.amār kī ḳhātir
ham jaan bhī de deñ jo ishāra ho udhar se
manzūr har ik zulm hai dildār kī ḳhātir
qismat mirī kuTiyā kī jagā jaa.eñ kisī din
āñkheñ haiñ bichā.ī huī sarkār kī ḳhātir
ham tishna-ba-lab sāhil-e-dariyā se chale aa.e
ye karb bhī jhelā dil-e-ḳhuddār kī ḳhātir
mehnat bhī mashaqqat bhī karūñ kyoñ na 'vafā' maiñ
hai farz mirā apne parivār kī ḳhātir
bechain ye dil hai tere didar ki KHatir
Thukra diya duniya ko tere pyar ki KHatir
aankhon mein hai dam hasrat-e-didar ki KHatir
kuchh der ko aa jaiye bimar ki KHatir
jab taj-mahal ban gaya kaTwae gae hath
ek shah ne ki yun fan-e-meamar ki KHatir
hum jaan bhi de den jo ishaara ho udhar se
manzur har ek zulm hai dildar ki KHatir
qismat meri kuTiya ki jaga jaen kisi din
aankhen hain bichai hui sarkar ki KHatir
hum tishna-ba-lab sahil-e-dariya se chale aae
ye karb bhi jhela dil-e-KHuddar ki KHatir
mehnat bhi mashaqqat bhi karun kyon na 'wafa' main
hai farz mera apne pariwar ki KHatir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.