bechain zindagi mein tera nam aa gaya
bechain zindagī meñ tirā naam aa gayā
gardish meñ āshiqī bhī ye ārām aa gayā
qāsid sunā rahā thā tirā hī payām uf
dard-e-jigar miTā thā ki paiġhām aa gayā
ḳhanjar hai us ke haath meñ pairoñ meñ dil mirā
qātil mirā bhī khul ke sar-e-ām aa gayā
hasrat uThī hai dil meñ batā rāzdāñ ke ab
qissa mirā vo kaise sar-e-ām aa gayā
aayā huuñ lauT kar maiñ hasīnoñ kī bazm meñ
‘ishq-e-butāñ kā sar pe lo ilzām aa gayā
bechain zindagi mein tera nam aa gaya
gardish mein aashiqi bhi ye aaram aa gaya
qasid suna raha tha tera hi payam uf
dard-e-jigar miTa tha ki paigham aa gaya
KHanjar hai us ke hath mein pairon mein dil mera
qatil mera bhi khul ke sar-e-am aa gaya
hasrat uThi hai dil mein bata raazdan ke ab
qissa mera wo kaise sar-e-am aa gaya
aaya hun lauT kar main hasinon ki bazm mein
‘ishq-e-butan ka sar pe lo ilzam aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.