Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bechaini ke lamhe sansen patthar ki

Zulfiqar Naqvi

bechaini ke lamhe sansen patthar ki

Zulfiqar Naqvi

MORE BYZulfiqar Naqvi

    bechainī ke lamhe sāñseñ patthar

    sadiyoñ jaise din haiñ rāteñ patthar

    pathrā.ī āñkheñ chehre patthar ke

    ham ne dekhīñ kitnī shakleñ patthar

    gore hoñ kaale sar par barse haiñ

    parkhī ham ne saarī zāteñ patthar

    nīlāmī ke dar par bebas sharminda

    ḳhāmoshī meñ lipTī āñkheñ patthar

    dil dhaḌkan baḌhtī jaa.e sun sun kar

    shīshagar ke lab par bāteñ patthar

    andar ārā.ish-e-nāzuk kyā hogā

    bāhar vaznī haiñ dīvāreñ patthar

    aao mil kar un meñ DhūñDeñ ādam-zād

    chaltī phirtī jo haiñ lāsheñ patthar

    bechaini ke lamhe sansen patthar ki

    sadiyon jaise din hain raaten patthar ki

    pathrai si aankhen chehre patthar ke

    hum ne dekhin kitni shaklen patthar ki

    gore hon ya kale sar par barse hain

    parkhi hum ne sari zaten patthar ki

    nilami ke dar par bebas sharminda

    KHamoshi mein lipTi aankhen patthar ki

    dil ki dhaDkan baDhti jae sun sun kar

    shishagar ke lab par baaten patthar ki

    andar ki aaraish-e-nazuk kya hoga

    bahar wazni hain diwaren patthar ki

    aao mil kar un mein DhunDen aadam-zad

    chalti phirti jo hain lashen patthar ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now