bechainiyon ke rang sawalon mein bhar gae
bechainiyoñ ke rañg savāloñ meñ bhar ga.e
manzil se pūchhtā huuñ ki raste kidhar ga.e
dil ko nichoḌā itnā ki ehsās mar ga.e
ḳhud ko bigāḌ kar tujhe ham paar kar ga.e
mujh ko udaas dekhā jo milne ke baad bhī
vo apne dil kā dard batāne se Dar ga.e
pūnam kī shab kā chāñd jo khiḌkī pe aa gayā
kamre meñ mere yādoñ ke gesū bikhar ga.e
sāhil kī qaid meñ kahīñ jaltī hai ik nadī
mere ḳhayāl ret ke dariyā meñ mar ga.e
vīrāniyoñ ko apnā muqaddar samajh liyā
saare fareb sah ke vo chup meñ utar ga.e
mahtāb par nahīñ hai havā bhī sukūn bhī
sannāTā dil meñ bharne ko ham kyoñ udhar ga.e
bechainiyon ke rang sawalon mein bhar gae
manzil se puchhta hun ki raste kidhar gae
dil ko nichoDa itna ki ehsas mar gae
KHud ko bigaD kar tujhe hum par kar gae
mujh ko udas dekha jo milne ke baad bhi
wo apne dil ka dard batane se Dar gae
punam ki shab ka chand jo khiDki pe aa gaya
kamre mein mere yaadon ke gesu bikhar gae
sahil ki qaid mein kahin jalti hai ek nadi
mere KHayal ret ke dariya mein mar gae
viraniyon ko apna muqaddar samajh liya
sare fareb sah ke wo chup mein utar gae
mahtab par nahin hai hawa bhi sukun bhi
sannaTa dil mein bharne ko hum kyon udhar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.