bechte kya ho miyan aan ke bazar ke beach
bechte kyā ho miyāñ aan ke bāzār ke beach
aur anā kaahe ko rakh chhoḌī hai bevpār ke beach
us ghaḌī adl kī zanjīr kahāñ hotī hai
jab kanīzoñ ko chunā jaatā hai dīvār ke beach
shahr hotā hai sitāroñ ke lahū se raushan
tasht meñ sar bhī paḌe hote haiñ darbār ke beach
kabhī us raah meñ phal-phūl lagā karte the
ab lahū kāTte haiñ kābul-o-qandhār ke beach
karb ke vāste maujūd hai duniyā-e-bahisht
sach muallaq hai abhī ātish-o-gulzār ke beach
raakh baiThegī to phir aag ravāna hogī
jaane kab se jo dahaktī rahī kohsār ke beach
shaam utartī hai to 'vājid' maiñ yahī sochtā huuñ
aaj kā din bhī gayā yādoñ ke ambār ke beach
bechte kya ho miyan aan ke bazar ke beach
aur ana kahe ko rakh chhoDi hai bewpar ke beach
us ghaDi adl ki zanjir kahan hoti hai
jab kanizon ko chuna jata hai diwar ke beach
shahr hota hai sitaron ke lahu se raushan
tasht mein sar bhi paDe hote hain darbar ke beach
kabhi us rah mein phal-phul laga karte the
ab lahu kaTte hain kabul-o-qandhaar ke beach
karb ke waste maujud hai duniya-e-bahisht
sach muallaq hai abhi aatish-o-gulzar ke beach
rakh baiThegi to phir aag rawana hogi
jaane kab se jo dahakti rahi kohsar ke beach
sham utarti hai to 'wajid' main yahi sochta hun
aaj ka din bhi gaya yaadon ke ambar ke beach
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.