bedad ka lab par mere shikwa nahin hota
bedad ka lab par mere shikwa nahin hota
Khawaja Manzar Hasan Manzar
MORE BYKhawaja Manzar Hasan Manzar
bedād kā lab par mire shikva nahīñ hotā
fariyād se zaḳhmoñ kā mudāvā nahīñ hotā
yuuñ ghuur ke dīvār ko kyoñ dekh rahe ho
dīvār pe taqdīr kā likkhā nahīñ hotā
yuuñ aaj mujhe paañv se Thukrātī na duniyā
duniyā ko agar TuuT ke chāhā nahīñ hotā
uñglī ke ishāre pe jo ham naach rahe haiñ
kis roz madārī kā tamāshā nahīñ hotā
har chaar taraf ḳhaak pe bikhre hue hote
tasbīh ke dānoñ meñ jo rishta nahīñ hotā
jis qaum ko imroz kā idrāk nahīñ ho
us qaum ko andāza-e-fardā nahīñ hotā
'manzar' tapish-e-reg meñ kyā DhūñD rahe ho
sahrā kī kaḌī dhuup meñ saaya nahīñ hotā
bedad ka lab par mere shikwa nahin hota
fariyaad se zaKHmon ka mudawa nahin hota
yun ghur ke diwar ko kyon dekh rahe ho
diwar pe taqdir ka likkha nahin hota
yun aaj mujhe panw se Thukraati na duniya
duniya ko agar TuT ke chaha nahin hota
ungli ke ishaare pe jo hum nach rahe hain
kis roz madari ka tamasha nahin hota
har chaar taraf KHak pe bikhre hue hote
tasbih ke danon mein jo rishta nahin hota
jis qaum ko imroz ka idrak nahin ho
us qaum ko andaza-e-farda nahin hota
'manzar' tapish-e-reg mein kya DhunD rahe ho
sahra ki kaDi dhup mein saya nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.