bedād par hai maa.il bedād karne vaalā
fariyād kar rahā hai fariyād karne vaalā
pāband karne vaale pāband ḳhuub kar le
āzād kar hī degā āzād karne vaalā
roz-e-azal se ġhāfil terā hī dil hai tujh ko
nāshād karne vaalā yā shaad karne vaalā
fariyād jald sun le fariyād sunñe vaale
māyūs ho na jaa.e fariyād karne vaalā
aatī hai ai 'munavār' hañgām-e-naza.a hichkī
kartā hai yaad shāyad ab yaad karne vaalā
bedad par hai mail bedad karne wala
fariyaad kar raha hai fariyaad karne wala
paband karne wale paband KHub kar le
aazad kar hi dega aazad karne wala
roz-e-azal se ghafil tera hi dil hai tujh ko
nashad karne wala ya shad karne wala
fariyaad jald sun le fariyaad sunne wale
mayus ho na jae fariyaad karne wala
aati hai ai 'munawar' hangam-e-naza hichki
karta hai yaad shayad ab yaad karne wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.