begāna banā detā hai andāz-e-bayāñ aur
ho sāmnā un kā to bahaktī hai zabāñ aur
tez aag huī jaatī hai ai soz-e-nihāñ aur
aañsū jo Tapakte haiñ to uThtā hai dhuāñ aur
ai ruuh na ho jaa.e kahīñ jism-e-girāñ aur
ghabrā.e musāfir to badaltā hai makāñ aur
jab Dūbte tāroñ se ulajh jaatī haiñ aaheñ
chhā jaatā hai mahfil pe charāġhoñ kā dhuāñ aur
kis tarah se yaksāñ hoñ mohabbat ke taqāze
parvānoñ ke dil aur haiñ sham.oñ kī zabāñ aur
begana bana deta hai andaz-e-bayan aur
ho samna un ka to bahakti hai zaban aur
tez aag hui jati hai ai soz-e-nihan aur
aansu jo Tapakte hain to uThta hai dhuan aur
ai ruh na ho jae kahin jism-e-giran aur
ghabrae musafir to badalta hai makan aur
jab Dubte taron se ulajh jati hain aahen
chha jata hai mahfil pe charaghon ka dhuan aur
kis tarah se yaksan hon mohabbat ke taqaze
parwanon ke dil aur hain shamon ki zaban aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.