begana-e-har-rahat-o-gham tumne kiya hai
begāna-e-har-rāhat-o-ġham tum ne kiyā hai
mujh par ye karam bhī ba-qasam tum ne kiyā hai
shāista-e-ādāb-e-mohabbat jo nahīñ the
gumrāh unheñ shaiḳh-e-haram tum ne kiyā hai
dīdār ke pyāsoñ se jo kah duuñ to bigaḌ jaa.eñ
badnām mohabbat kā bharam tum ne kiyā hai
thoḌā sā alag haT ke rah-e-ām kī had se
suntā huuñ ki aksar mirā ġham tum ne kiyā hai
rabt-e-nigah-e-dil kā ḳhulāsa jise kahiye
aksar vahī afsānā raqam tum ne kiyā hai
har maslahat-e-vaqt kī chaukhaT pe jhukā ke
insāf kā ḳhuun ahl-e-qalam tum ne kiyā hai
zāhid se 'nihāl' aaj koī pūchh le itnā
sar kyoñ dar-e-mai-ḳhāna pe ḳham tum ne kiyā hai
begana-e-har-rahat-o-gham tum ne kiya hai
mujh par ye karam bhi ba-qasam tum ne kiya hai
shaista-e-adab-e-mohabbat jo nahin the
gumrah unhen shaiKH-e-haram tum ne kiya hai
didar ke pyason se jo kah dun to bigaD jaen
badnam mohabbat ka bharam tum ne kiya hai
thoDa sa alag haT ke rah-e-am ki had se
sunta hun ki aksar mera gham tum ne kiya hai
rabt-e-nigah-e-dil ka KHulasa jise kahiye
aksar wahi afsana raqam tum ne kiya hai
har maslahat-e-waqt ki chaukhaT pe jhuka ke
insaf ka KHun ahl-e-qalam tum ne kiya hai
zahid se 'nihaal' aaj koi puchh le itna
sar kyon dar-e-mai-KHana pe KHam tum ne kiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.