begana-e-qayud-e-bahaar-o-KHizan rahe
begāna-e-qayūd-e-bahār-o-ḳhizāñ rahe
yārab mirā junūn-e-mohabbat javāñ rahe
ye bhī samajh sakī hai na ab tak nigāh-e-shauq
tum ne kahāñ fareb diyā aur kahāñ rahe
duniyā meñ chāk-dil ko nahīñ pūchhtā koī
kyā jaane kitne ahl-e-junūñ be-nishāñ rahe
us anjuman meñ ham bhī pahuñch to ga.e magar
jab tak rahe mizāj-e-nazar par garāñ rahe
kyā kyā jafā.eñ kī haiñ har ik aarzū ke saath
aur is tarah ki un pe vafā kā gumāñ rahe
ab yuuñ karam na kar ki ba-īñ vasf-e-husn-o-nāz
shāyad tujhe bhī ishq kā saudā garāñ rahe
lene de apnā naam bhī mujh ko ki mere ba.ad
tū bhī mirī ġhazal ke sabab jāvedāñ rahe
begana-e-qayud-e-bahaar-o-KHizan rahe
yarab mera junun-e-mohabbat jawan rahe
ye bhi samajh saki hai na ab tak nigah-e-shauq
tum ne kahan fareb diya aur kahan rahe
duniya mein chaak-dil ko nahin puchhta koi
kya jaane kitne ahl-e-junun be-nishan rahe
us anjuman mein hum bhi pahunch to gae magar
jab tak rahe mizaj-e-nazar par garan rahe
kya kya jafaen ki hain har ek aarzu ke sath
aur is tarah ki un pe wafa ka guman rahe
ab yun karam na kar ki ba-in wasf-e-husn-o-naz
shayad tujhe bhi ishq ka sauda garan rahe
lene de apna nam bhi mujh ko ki mere baad
tu bhi meri ghazal ke sabab jawedan rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.