begana ho ke bazm-e-jahan dekhta hun main
begāna ho ke bazm-e-jahāñ dekhtā huuñ maiñ
duniyā ke rañg-o-bū kā samāñ dekhtā huuñ meñ
raushan-zamīr jaise koī sarf-e-dīd ho.e
yuuñ jalva-hā-e-kaun-o-makāñ dekhtā huuñ meñ
arzāñ hai zulm-o-jaur kī uftādgī magar
jins-o-vafā-o-mehr-e-garāñ dekhtā huuñ maiñ
ik samt jashn-e-shādī-o-hañgāma-e-nishāt
ik samt hashr āh-o-fuġhāñ dekhtā huuñ maiñ
sharh-e-alam darāz hai al-qissa ai 'shakīl'
ik daaġh apne dil meñ nihāñ dekhtā huuñ maiñ
begana ho ke bazm-e-jahan dekhta hun main
duniya ke rang-o-bu ka saman dekhta hun mein
raushan-zamir jaise koi sarf-e-did hoe
yun jalwa-ha-e-kaun-o-makan dekhta hun mein
arzan hai zulm-o-jaur ki uftadgi magar
jins-o-wafa-o-mehr-e-garan dekhta hun main
ek samt jashn-e-shadi-o-hangama-e-nishat
ek samt hashr aah-o-fughan dekhta hun main
sharh-e-alam daraaz hai al-qissa ai 'shakil'
ek dagh apne dil mein nihan dekhta hun main
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 699)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.