begana-war humse yagana badal gaya
begāna-vār ham se yagāna badal gayā
kaisī chalī havā ki zamāna badal gayā
āñkheñ bhī dekhtī haiñ zamāne ke rañg-Dhañg
dil bhī samajh rahā hai zamāna badal gayā
badlā na thā zamāna agar tum na badle the
jab tum badal ga.e to zamāna badal gayā
un ko dilā.īñ yaad jab aglī ināyateñ
vo bhī ye kah uThe ki zamāna badal gayā
bas ek ai 'vafā' mire miTne kī der thī
mujh ko miTā chukā to zamāna badal gayā
begana-war hum se yagana badal gaya
kaisi chali hawa ki zamana badal gaya
aankhen bhi dekhti hain zamane ke rang-Dhang
dil bhi samajh raha hai zamana badal gaya
badla na tha zamana agar tum na badle the
jab tum badal gae to zamana badal gaya
un ko dilain yaad jab agli inayaten
wo bhi ye kah uThe ki zamana badal gaya
bas ek ai 'wafa' mere miTne ki der thi
mujh ko miTa chuka to zamana badal gaya
- Book : Sang-e-meel (Pg. 37)
- Author : mela Ram ‘vfaa’
- Publication : Darpan Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.