begam KHudara rahne de takrar ab please
begam KHudara rahne de takrar ab please
Wahid Ansari Burhanpur
MORE BYWahid Ansari Burhanpur
begam ḳhudārā rahne de takrār ab please
kar mood merā off na bekār ab please
āsān kitnā kar diyā fashion ne pairahan
rakh de kināre nau-ġhazī shalvār ab please
sun sun ke heart fail na jo jaa.e jān-e-man
kar apnī ḳhvāhishoñ kā na iz.hār ab please
sar par biThā.e aur uThā.e har ek naaz
shauhar tū aisā DhūñD le damdār ab please
ayyāshiyoñ meñ tū ne javānī guzār dī
būḌhā huā sañbhāl le kirdār ab please
'vāhid' na koī dekh le kamre meñ mere saath
jā bhaag le tū phāñd ke dīvār ab please
begam KHudara rahne de takrar ab please
kar mood mera off na bekar ab please
aasan kitna kar diya fashion ne pairahan
rakh de kinare nau-ghazi shalwar ab please
sun sun ke heart fail na jo jae jaan-e-man
kar apni KHwahishon ka na izhaar ab please
sar par biThae aur uThae har ek naz
shauhar tu aisa DhunD le damdar ab please
ayyashiyon mein tu ne jawani guzar di
buDha hua sanbhaal le kirdar ab please
'wahid' na koi dekh le kamre mein mere sath
ja bhag le tu phand ke diwar ab please
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.