ajib KHwahish hai shahr walon se chhup chhupa kar kitab likkhun
ajib KHwahish hai shahr walon se chhup chhupa kar kitab likkhun
Noshi Gilani
MORE BYNoshi Gilani
ajiib ḳhvāhish hai shahr vāloñ se chhup chhupā kar kitāb likkhūñ
tumhāre naam apnī zindagī kī kitāb kā intisāb likkhūñ
vo lamha kitnā ajiib thā jab hamārī āñkheñ gale milī thiiñ
maiñ kis tarah ab mohabbatoñ kī shikastagī ke azaab likkhūñ
tumhī ne mere ujaaḌ rastoñ pe ḳhvāhishoñ ke diye jalā.e
tumhī ne chāhā thā ḳhushk hoñToñ se chāhatoñ ke gulāb likkhūñ
kabhī vo din the ki niiñd āñkhoñ kī sarhadoñ se pare pare thī
magar maiñ ab jab bhī sonā chāhūñ tumhārī yādoñ ke ḳhvāb likkhūñ
maiñ tanhā laḌkī dayār-e-shab meñ jalā.ūñ sach ke diye kahāñ tak
siyāhkāroñ kī saltanat meñ maiñ kis tarah āftāb likkhūñ
qayādatoñ ke junūñ meñ jin ke qadam lahū se rañge hue haiñ
ye mere bas meñ nahīñ hai logo ki un ko izzat-ma.āb likkhūñ
yahī bahut hai ki in laboñ ko sadā se mahrūm kar ke rakh duuñ
magar ye kaisī musālahat hai samundaroñ ko sarāb likkhūñ
ajib KHwahish hai shahr walon se chhup chhupa kar kitab likkhun
tumhaare nam apni zindagi ki kitab ka intisab likkhun
wo lamha kitna ajib tha jab hamari aankhen gale mili thin
main kis tarah ab mohabbaton ki shikastagi ke azab likkhun
tumhi ne mere ujaD raston pe KHwahishon ke diye jalae
tumhi ne chaha tha KHushk honTon se chahaton ke gulab likkhun
kabhi wo din the ki nind aankhon ki sarhadon se pare pare thi
magar main ab jab bhi sona chahun tumhaari yaadon ke KHwab likkhun
main tanha laDki dayar-e-shab mein jalaun sach ke diye kahan tak
siyahkaron ki saltanat mein main kis tarah aaftab likkhun
qayaadaton ke junun mein jin ke qadam lahu se range hue hain
ye mere bas mein nahin hai logo ki un ko izzat-maab likkhun
yahi bahut hai ki in labon ko sada se mahrum kar ke rakh dun
magar ye kaisi musalahat hai samundaron ko sarab likkhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.