Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dilon ki or dhuan sa dikhai deta hai

Ahmad Mushtaq

dilon ki or dhuan sa dikhai deta hai

Ahmad Mushtaq

MORE BYAhmad Mushtaq

    diloñ or dhuāñ dikhā.ī detā hai

    ye shahr to mujhe jaltā dikhā.ī detā hai

    jahāñ ki daaġh hai yaañ aage dard rahtā thā

    magar ye daaġh bhī jaatā dikhā.ī detā hai

    pukārtī haiñ bhare shahr guzargāheñ

    vo roz shaam ko tanhā dikhā.ī detā hai

    ye log TuuTī huī kashtiyoñ meñ sote haiñ

    mire makān se dariyā dikhā.ī detā hai

    ḳhizāñ ke zard dinoñ siyāh rātoñ meñ

    kisī phuul chehra dikhā.ī detā hai

    kahīñ mile vo sar-e-rāh to lipaT jaa.eñ

    bas ab to ek rasta dikhā.ī detā hai

    dilon ki or dhuan sa dikhai deta hai

    ye shahr to mujhe jalta dikhai deta hai

    jahan ki dagh hai yan aage dard rahta tha

    magar ye dagh bhi jata dikhai deta hai

    pukarti hain bhare shahr ki guzargahen

    wo roz sham ko tanha dikhai deta hai

    ye log TuTi hui kashtiyon mein sote hain

    mere makan se dariya dikhai deta hai

    KHizan ke zard dinon ki siyah raaton mein

    kisi ka phul sa chehra dikhai deta hai

    kahin mile wo sar-e-rah to lipaT jaen

    bas ab to ek hi rasta dikhai deta hai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now