jiye ja raha hun tujhe yaad kar ke
jiye ja raha hun tujhe yaad kar ke
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
MORE BYJitendra Mohan Sinha Rahbar
jiye jā rahā huuñ tujhe yaad kar ke
tasavvur kī duniyā ko ābād kar ke
pashemāñ haiñ ham arz-e-rūdād kar ke
karam hī kiyā tum ne be-dād kar ke
mujhe is kī mutlaq shikāyat nahīñ hai
sitam par sitam laao ījād kar ke
kahāñ rahiye apnoñ se kar ke kinārā
milā kyā hai ġhairoñ se fariyād kar ke
hameñ vāsta aise sayyād se hai
ki jo said rakhtā hai āzād kar ke
burā kar rahe haiñ tirā naam le kar
ḳhatā kar rahe haiñ tujhe yaad kar ke
mohabbat sī shai us ne mujh ko atā kī
ki ḳhush ḳhush chalūñ umr barbād kar ke
jo chāho shumār apnā ahl-e-suḳhan meñ
paḌho sher 'rahbar' ko ustād kar ke
jiye ja raha hun tujhe yaad kar ke
tasawwur ki duniya ko aabaad kar ke
pasheman hain hum arz-e-rudad kar ke
karam hi kiya tum ne be-dad kar ke
mujhe is ki mutlaq shikayat nahin hai
sitam par sitam lao ijad kar ke
kahan rahiye apnon se kar ke kinara
mila kya hai ghairon se fariyaad kar ke
hamein wasta aise sayyaad se hai
ki jo said rakhta hai aazad kar ke
bura kar rahe hain tera nam le kar
KHata kar rahe hain tujhe yaad kar ke
mohabbat si shai us ne mujh ko ata ki
ki KHush KHush chalun umr barbaad kar ke
jo chaho shumar apna ahl-e-suKHan mein
paDho sher 'rahbar' ko ustad kar ke
- Book : Payaam-e-Rehber (Pg. 68)
- Author : Jitendra Mohan Sinha Rehber
- Publication : Karanti Gupta & Om Parkash Gupt C-1205, Rajaji Puram, Lucknow (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.