behaal dil ka haal karun to ghazal kahun
behaal dil ka haal karun to ghazal kahun
Yasmin Husaini Zaidi Nikhat
MORE BYYasmin Husaini Zaidi Nikhat
behāl dil kā haal karūñ to ġhazal kahūñ
jiine kā phir malāl karūñ to ġhazal kahūñ
dil to misāl-e-sañg hai TūTegā kyā bhalā
ḳhasta-jigar kā haal karūñ to ġhazal kahūñ
ye rang chaar roza hai rā'nā.ī chaar roz
jo husn lā-zavāl karūñ to ġhazal kahūñ
hai lutf is miyāna-ravī meñ bhalā kahāñ
kuchh amr bā-kamāl karūñ to ġhazal kahūñ
mausam na sard garm na tūfāñ kā zor hai
ab ḳhud hī kuchh vabāl karūñ to ġhazal kahūñ
muddat huī habīb se shikva kiye hue
ab us se kuchh savāl karūñ to ġhazal kahūñ
haiñ is jahāñ meñ achchhe suḳhanvar hazār-hā
'nik.hat' ko be-misāl karūñ to ġhazal kahūñ
behaal dil ka haal karun to ghazal kahun
jine ka phir malal karun to ghazal kahun
dil to misal-e-sang hai TuTega kya bhala
KHasta-jigar ka haal karun to ghazal kahun
ye rang chaar roza hai ra'nai chaar roz
jo husn la-zawal karun to ghazal kahun
hai lutf is miyana-rawi mein bhala kahan
kuchh amr ba-kamal karun to ghazal kahun
mausam na sard garm na tufan ka zor hai
ab KHud hi kuchh wabaal karun to ghazal kahun
muddat hui habib se shikwa kiye hue
ab us se kuchh sawal karun to ghazal kahun
hain is jahan mein achchhe suKHanwar hazar-ha
'nikhat' ko be-misal karun to ghazal kahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.