behad shadid soch ke manthan mein qaid hun
behad shadīd soch ke manthan meñ qaid huuñ
yuuñ pahle pahle pyaar ke sāvan meñ qaid huuñ
goyā maiñ zindagī key kisī bhaag dauḌ meñ
itnā ulajh gayā huuñ ki uljhan meñ qaid huuñ
ye kuchh hī saal pahle key tasvīr dekhiye
maiñ kitnā ḳhush-mizāj sā bachpan meñ qaid huuñ
rātoñ key niiñd din kā sukūñ sab harām hai
kyā ab bhī tere pyaar ke bandhan meñ qaid huuñ
niklā hai chāñd iid kā bachchoñ key fikr meñ
maiñ phir kaTī-phaTī huī achkan meñ qaid huuñ
jis key davā banī na banegī tamām umr
'ābid' maiñ aise dard key jakḌan meñ qaid huuñ
behad shadid soch ke manthan mein qaid hun
yun pahle pahle pyar ke sawan mein qaid hun
goya main zindagi key kisi bhag dauD mein
itna ulajh gaya hun ki uljhan mein qaid hun
ye kuchh hi sal pahle key taswir dekhiye
main kitna KHush-mizaj sa bachpan mein qaid hun
raaton key nind din ka sukun sab haram hai
kya ab bhi tere pyar ke bandhan mein qaid hun
nikla hai chand id ka bachchon key fikr mein
main phir kaTi-phaTi hui achkan mein qaid hun
jis key dawa bani na banegi tamam umr
'abid' main aise dard key jakDan mein qaid hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.