behtar nahin raha kabhi kamtar nahin raha
behtar nahīñ rahā kabhī kamtar nahīñ rahā
maiñ ziist meñ kisī ke barābar nahīñ rahā
dasht-e-firāq dhuup ġhazab kī safar nasīb
saaya bhī us kī yaad kā sar par nahīñ rahā
is ahd-e-saḳht-gīr meñ ye chhūT hai bahut
bāhar phirā hai tū kabhī andar nahīñ rahā
āzād ho gayā huuñ hukūmat kī qaid se
is mulk meñ mirā koī daftar nahīñ rahā
maiñ huuñ fidā-e-sunnat-e-mansūr 'āftāb'
sādiq nahīñ rahā kabhī jāfar nahīñ rahā
behtar nahin raha kabhi kamtar nahin raha
main zist mein kisi ke barabar nahin raha
dasht-e-firaq dhup ghazab ki safar nasib
saya bhi us ki yaad ka sar par nahin raha
is ahd-e-saKHt-gir mein ye chhuT hai bahut
bahar phira hai tu kabhi andar nahin raha
aazad ho gaya hun hukumat ki qaid se
is mulk mein mera koi daftar nahin raha
main hun fida-e-sunnat-e-mansur 'aftab'
sadiq nahin raha kabhi jafar nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.