behtar se behtarin ki jaanib hum aa gae
behtar se behtarīn kī jānib ham aa ga.e
jab ḳhud pe hī yaqīn kī jānib ham aa ga.e
dil meñ purānī yaad kī chalne lagī havā
kyoñ terī sarzamīn kī jānib ham aa ga.e
duniyā se khelne kā na jab hausla rahā
duniyā ko chhoḌ diin kī jānib ham aa ga.e
dushman ho sāmne to hai āsān mārnā
lekin ab āstīn kī jānib ham aa ga.e
anjām muflisī hai agar muflisī sahī
'sābir' the sābirīn kī jānib ham aa ga.e
behtar se behtarin ki jaanib hum aa gae
jab KHud pe hi yaqin ki jaanib hum aa gae
dil mein purani yaad ki chalne lagi hawa
kyon teri sarzamin ki jaanib hum aa gae
duniya se khelne ka na jab hausla raha
duniya ko chhoD din ki jaanib hum aa gae
dushman ho samne to hai aasan marna
lekin ab aastin ki jaanib hum aa gae
anjam muflisi hai agar muflisi sahi
'sabir' the sabirin ki jaanib hum aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.