beja na tha uTh baiThna bechaini se mera
bejā na thā uTh baiThnā bechainī se merā
shab sāmne āñkhoñ ke vo tasvīr khaḌī thī
ik haath dharā dil pe ik añgusht dahan meñ
yuuñ kushta-e-ulfat kī tire laash paḌī thī
us gauhar-e-yaktā kī jo maiñ yaad meñ royā
har ashk-e-musalsal mirā motī kī laḌī thī
sadme se shab-e-hijr ke jiitā jo bachā tū
bīmār-e-tap-e-hijr tirī umr baḌī thī
kī us ne hai āsān dam-e-teġh se varna
manzil ye 'shu.ūr' apne liye saḳht kaḌī thī
beja na tha uTh baiThna bechaini se mera
shab samne aankhon ke wo taswir khaDi thi
ek hath dhara dil pe ek angusht dahan mein
yun kushta-e-ulfat ki tere lash paDi thi
us gauhar-e-yakta ki jo main yaad mein roya
har ashk-e-musalsal mera moti ki laDi thi
sadme se shab-e-hijr ke jita jo bacha tu
bimar-e-tap-e-hijr teri umr baDi thi
ki us ne hai aasan dam-e-tegh se warna
manzil ye 'shuur' apne liye saKHt kaDi thi
- Book : Intekhab-e-kalam Shuur Bilgiramii (Pg. 88)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.