beja si hasraton ne tamasha kiya mujhe
beja si hasraton ne tamasha kiya mujhe
Syed Iqbal Rizvi Sharib
MORE BYSyed Iqbal Rizvi Sharib
bejā sī hasratoñ ne tamāshā kiyā mujhe
ḳhud merī vahshatoñ ne hī rusvā kiyā mujhe
jab dastaras meñ thā to na kī lutf kī nigāh
phir saarī umr logoñ se pūchhā kiyā mujhe
is daur meñ daroġh ne paayā hai kyā faroġh
go haq pe thā maiñ jhūToñ ne jhūTā kiyā mujhe
aksar jo hukmarāñ haiñ vo muuzī sarisht haiñ
mālik ye kaise daur meñ paidā kiyā mujhe
hālāt ne vajūd mirā masḳh kar diyā
vo mere saath ho ke bhī DhūñDā kiyā mujhe
ab kuchh bhī merī zaat meñ zaatī nahīñ rahā
kuchh yuuñ nizām-e-nau ne barahnā kiyā mujhe
'shārib' ajab sukūn hai jab se sunā hai ye
aariz pe dhar ke haath vo sochā kiyā mujhe
beja si hasraton ne tamasha kiya mujhe
KHud meri wahshaton ne hi ruswa kiya mujhe
jab dastaras mein tha to na ki lutf ki nigah
phir sari umr logon se puchha kiya mujhe
is daur mein darogh ne paya hai kya farogh
go haq pe tha main jhuTon ne jhuTa kiya mujhe
aksar jo hukmaran hain wo muzi sarisht hain
malik ye kaise daur mein paida kiya mujhe
haalat ne wajud mera masKH kar diya
wo mere sath ho ke bhi DhunDa kiya mujhe
ab kuchh bhi meri zat mein zati nahin raha
kuchh yun nizam-e-nau ne barahna kiya mujhe
'shaarib' ajab sukun hai jab se suna hai ye
aariz pe dhar ke hath wo socha kiya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.