bekali se mujhe rahat hogi
bekalī se mujhe rāhat hogī
chheḌ deñ aap ināyat hogī
vasl meñ un ke qadam chūmeñge
vo bhī gar un kī ijāzat hogī
be-qarārī ke maze lūTeñge
aaj phir dard kī shiddat hogī
ek din khol ke jī ro leñge
zabt-e-ġham kī jo ijāzat hogī
qissa-e-ġham na kahūñgā 'hasrat'
jaur kī un ke shikāyat hogī
bekali se mujhe rahat hogi
chheD den aap inayat hogi
wasl mein un ke qadam chumenge
wo bhi gar un ki ijazat hogi
be-qarari ke maze luTenge
aaj phir dard ki shiddat hogi
ek din khol ke ji ro lenge
zabt-e-gham ki jo ijazat hogi
qissa-e-gham na kahunga 'hasrat'
jaur ki un ke shikayat hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.